wo nam zahr ka rakh den dawa to kya hoga kahen jo khun ko rang-e-hina to kya hoga chaman ki samt chala to hai karwan-e-bahaar jo rahzan hi hue rahnuma to kya hoga harif-e-sail-e-hawadis to hai safina-e-qaum jo nazr-e-mauj hua na-khuda to kya hoga taras raha hai zamana sukun-e-dil ke liye sukun-e-dil na mayassar hua to kya hoga chaman ke ishq mein ahl-e-wafa ye bhul gae badal gai jo chaman ki faza to kya hoga guzar rahi hain nigahen had-e-tajassus se mila na koi jo dard-ashna to kya hoga hamara khun tha shadabi-e-chaman ka sabab jo ye chaman ke na kaam aa saka to kya hoga gham-e-hayat se yun to hain ashk-bar aankhen nazar se khun tapakne laga to kya hoga bayan karun to sahi un ki dastan-e-sitam wo ho gae use san kar khafa to kya hoga bas ek nigah-e-karam tak hai zindagi ka nashat jo ye bhi tut gaya aasra to kya hoga abhi hai mohlat-e-husn-e-amal utho 'zauqi' jawab dene lage dast-o-pa to kya hoga