na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai bas ek aansu ke dane par basar-auqat karta hai shajar ke tan mein gahra zakhm hai koi wagarna yun zamin par sabz patton ki koi barsat karta hai wo jab chahe bujha deta hai shamen bhi sitare bhi nagar sara supurd-e-panja-e-zulmat karta hai wo apni baat se sad-chaak karta hai mera sina phir apni baat ki ta-der tawilat karta hai wo apni umr ko pahle piro leta hai dori mein phir us ke baad ginti umr ki din raat karta hai