fikr-e-ranj-o-rahat kaisi dozakh kaisa jannat kaisi badli un ki aadat kaisi ulti apni qismat kaisi har shai mein hai us ka jalwa kasrat mein hai wahdat kaisi aapas mein ai gabru musalman nahaq nahaq hujjat kaisi ulfat mein zillat rakkhi hai izzat kaisi hurmat kaisi zohd-e-zahid la-hasil hai begari ko ujrat kaisi sun kar meri sina-kubi bole wo ye naubat kaisi chashm-e-wahdat-e-bin ke aage aaine ki surat kaisi mar jaenge hum furqat mein rah jaegi hasrat kaisi aalam hai ai mah-ru tujh par shahron mein hai shohrat kaisi utthenge jab wo sohbat se barham hogi sohbat kaisi be-khud ho ja meri surat ai sufi ye haalat kaisi duniya ke jhagdon se chhute mar kar pai fursat kaisi zulfon ke phandon se nikle tali sar se aafat kaisi fasl-e-gul ke aate aate so jati hai wahshat kaisi