na aasman hai sakit na dil Thaharta hai

na aasman hai sakit na dil thaharta hai
zamana nam guzarne ka hai guzarta hai

wo meri jaan ka dushman sahi magar sayyaad
meri kahi hui baaton pe kan dharta hai

hamin hain wo jo umid-e-fana pe jite hain
zamana zindagi-e-be-baqa pe marta hai

abhi abhi dar-e-zindan pe kaun kahta tha
udhar se hat ke chalo koi nale karta hai

wahi sukut se ek umr katne wala
jo sunne wala ho koi to kah guzarta hai

harif bazm mein chheda karen magar 'saqib'
wo dil jo baith gaya ho kahin ubharta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close