wo bistar mein padi rahi sham gali mein khadi rahi sote hue bhi hathon mein phulon ki chhadi rahi wo kahin bahar khada raha raat frame mein judi rahi pairon mein din pada raha hathon mein hathkadi rahi hont bund ko taras gae ret mein chhagal padi rahi us din kitne phul khile us din kitni jhadi rahi diya taq mein pada raha machis taq mein padi rahi