na ab wo khush-nazari hai na khush-khisali hai ye kya hua mujhe ye waza kyun bana li hai ye haal hai mere diwar-o-dar ki wahshat ka ki mere hote hue bhi makan khali hai dam-e-nazara meri hairaton pe ghaur na kar ki meri aankh azal yunhi sawali hai mere wajud ko jis ne jala ke rakh kiya wo aag ab tere daman tak aane wali hai guzarti shab ka har ek lamha kah gaya mujh se sahar ke baad bhi ek raat aane wali hai musafiran-e-rah-e-shauq thak gae bhi to kya jahan ruke wahin basti nai basa li hai