nazar mila na sake us se is nigah ke baad wahi hai haal hamara jo ho gunah ke baad main kaise aur kis samt modta khud ko kisi ki chah na thi dil mein teri chah ke baad hawas ne tod di barson ki sadhna meri gunah kya hai ye jaana magar gunah ke baad zamir kanp to jata hai aap kuchh bhi kahen wo ho gunah se pahle ki ho gunah ke baad kati hui thin tanaben tamam rishton ki chhupata sar main kahan tujh se rasm-o-rah ke baad gawah chah rahe the wo be-gunahi ka zaban se kah na saka kuchh khuda gawah ke baad