na ahl-e-dil se na ahl-e-nazar se milta hai

na ahl-e-dil se na ahl-e-nazar se milta hai
shuur-e-zat faqat apne dar se milta hai

tumhaare faiz se khilte hain zindagi mein gulab
junun ko rang tumhaari nazar se milta hai

bikhar rahi hain ziyaen nikhar rahi hai faza
tumhaara husn jamal-e-sahar se milta hai

farogh-e-shauq hai ya irtiqa-e-jazb-e-darun
pata ab apna tumhaari khabar se milta hai

wahi hai hasil-e-ishrat wahi waqar-e-hayat
sukun-e-dil jo gham-e-mo'tabar se milta hai

kahan phir izn-e-safar mil gai agar manzil
safar ka zauq faqat rahguzar se milta hai

wo kam-sukhan hain magar hum se be-niyaz nahin
suragh-e-dil sukhan-e-mukhtasar se milta hai

nisar us pe do-alam ke mai-kade 'parwez'
wo ek jam jo un ki nazar se milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close