mahw hai husn ki adaon mein ishq rahta hai kin hawaon mein mai-kashi kya khata khataon mein ja padi baat parsaon mein bar-e-ehsan badha diya mujh par aur kya hai teri ataon mein aur kya hai teri ataon mein nafraton ka ghubar dekhoge husn-e-ikhlas ki ridaon mein gum na ho jaen walwale dil ke zist ke pur-khatar khalaon mein raqs karti hai tirgi 'parwez' dil-e-barbaad ki fazaon mein