na apni kahna na meri sunna koi sunega to kya kahega akele rona akele hansna koi sunega to kya kahega dhalak ke qadmon pe aa ke girna ye haalat-e-be-khudi mein aanchal khayal itna bhi ab na rakhna koi sunega to kya kahega ye be-jhijhak zulf ki baghawat nigah-o-rukhsar-o-lab pe qabze sanwarne walon ka ye bikharna koi sunega to kya kahega samajh na sanson ko bojh itna udas rahna bhi khud-kushi hai khud apni hasti tabah karna koi sunega to kya kahega kaho ki ab aaegi qayamat tumhein nahin hai meri zarurat tumhaara yun faisle se hatna koi sunega to kya kahega dhalakte ashkon ka raaz kholo batao kya gham hai kuchh to bolo hamare hote udas rahna koi sunega to kya kahega hazar chaha mana lun 'anwar' magar wo ab tak khafa hain mujh se qarib rahte hue na milna koi sunega to kya kahega