na arman ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain shab-e-wada wo dil mein dard-e-furqat ban ke aate hain pareshan zulf munh utra hua mahjub si aankhen wo bazm-e-ghair se aashiq ki surat ban ke aate hain bane hain shaikh-sahib naql-e-majlis bazm-e-rindan mein jahan tashrif le jate hain hazrat ban ke aate hain na rakhna hum se kuchh matlab ye pahli shart hai un ki wo jis ke pas aate hain amanat ban ke aate hain sitam ki khwahishen 'bekhud' ghazab ki aarzuen hain jawani ke ye din shayad musibat ban ke aate hain