na-ashna-e-dil hai na-ashna-e-urdu wo baat kya karega jis ko na aae urdu tanha na rah sakengi apne watan mein donon urdu fida-e-hindi hindi fida-e-urdu mil-jul ke donon bahnen ai kash badhti jaen himmat badhae hindi rasta dikhae urdu mandir ho ya ki masjid girja ho ya kalisa sab jagmaga rahe hain pa kar ziya-e-urdu 'ghaalib' ki ye zamin hai sab par rahegi ghaalib gunjegi chand par bhi ek din sada-e-urdu 'momin' ki dastan hai 'mulla' ki tarjuman hai 'chakbast' ki zaban hai dekho nawa-e-urdu mashriq ho ya ki maghrib ho asia ki europe har khitta-e-zamin par pahunchi sada-e-urdu 'tulsi' ki hai amanat 'khusraw' ki hai wirasat 'rizwan' dekhna tum mitne na pae urdu