saqi tere saghar ke talabgar bahut hain mai kam hai magar bazm mein mai-khwar bahut hain chaukhat se teri uth ke na jaenge kahin aur diwane hain phir bhi ye samajhdar bahut hain hai un ki bhi aankhon mein tere did ki khwahish jo hain pas-e-diwar wo khuddar bahut hain bas jins-e-wafa ki koi qimat nahin milti mitti bhi jo becho to kharidar bahut hain kahti hain ye talab mein bahti hui lashen is ganw mein qatil ke taraf-dar bahut hain is dil ke dhadakne ki sada kaun sunega is mulk mein inton ke parastar bahut hain koi bhi sar-e-dar nazar aaya na hum ko kahne ke liye misam-e-tammar bahut hain waris koi milta nahin ab lauh-o-qalam ka kahne ko to 'rizwan' qalamkar bahut hain