na bach paunga main ki biwiyan donon taraf se hain mere sar par barasti jutiyan donon taraf se hain mili hai chor se police mila ghundon se har neta azal se in mein sajhe-dariyan donon taraf se hain na ladke ko pasand ladki na ladki ko pasand ladka magar shadi ki sab tayyariyan donon taraf se hain dama ki wo mariza hai mujhe khansi ne ghera hai budhape mein badi majburiyan donon taraf se hain wo ho sasural ya maika ye kahti hai bahu mujh se mere kandhe pe zimmedariyan donon taraf se hain minister hon ki chaprasi wo achchha ho nahin sakta ki public ke liye makkariyan donon taraf se hain tarannum hi kuchh aisa tha bichaara kya kare 'wahid' ki hullad aur nare baziyan donon taraf se hain