na bachpan mein kaho hum ko kaDi baat

na bachpan mein kaho hum ko kadi baat
na khulwao ki chhota munh badi baat

suno to gauhar-e-dandan ki tarif
abhi ho jae moti ki ladi baat

bade andher ki tazin hai aaj
na hone degi missi ki dhadi baat

jahan aghyar un ke pas baithe
wahin bas ho gai koi ghadi baat

payam-e-wasl par wo ho gae tursh
ghazab aaya khatai mein padi baat

hum un se aaj ka shikwa karenge
ukhadenge wo barson ki gadi baat

tabiat un ki hai kuchh ukhdi ukhdi
kisi ne phir wahan meri judi baat

ye kis mizhgan ki barchhi ka tha mazkur
ani ho kar kaleje mein adi baat

'sakhi' wo yun to bolenge na hum se
kabhi ho jaegi dhoke-dhadi baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close