dekhta tha main palat kar har aan kis sada ka tha na jaane imkan us ki ek baat ko tanha mat kar wo ki hai rabt-e-nawa mein gunjaan tuti bikhri koi shai thi aisi jis ne qaem ki hamari pahchan log manzil pe the hum se pahle tha koi rasta shayad aasan sab se kamzor akele hum the hum pe the shahr ke sare bohtan os se pyas kahan bujhti hai musla-dhaar baras meri jaan kya ajab shahr-e-ghazal hai 'bani' lafz shaitan sukhan be-iman