na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz hai bhi jo kuchh gharaz to hamein yar se gharaz phirte hain hum to did ko tere hi dar pe kuchh raste se hai na kaam na bazar se gharaz kahne se kya kisi ke koi kuchh kaha kare hum ko to ek us ki hai guftar se gharaz ji in dinon mein aap se bhi hai khafa wa-lek bezar jo nahin hai to dildar se gharaz phir phir ke aaj puchhte ho dil ka haal kyun hai khair tum ko kya dil-e-bimar se gharaz aane ka wada kar ki na kar hum ko ab tere iqrar se na kaam na inkar se gharaz hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz sar-rishta jis ke hath laga ishq ka use tasbih se na shauq na zunnar se gharaz din-dar jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to kafir hun main bhi rakhkhun jo din-dar se gharaz