rahta hai ek har us sa qadmon ke sath sath chalta hai dasht dasht-nawardon ke sath sath hathon ka rabt harf-e-khafi se ajib hai hilte hain hath raaz ki baaton ke sath sath uthti hui fasil-e-fughan hadd-e-shahr par galiyon ki chup qadim makanon ke sath sath suraj ki aab zahar hai rangon ki aab ko hai dur tak bukhar sa baghon ke sath sath uryan hua hai mah shab-e-abr-o-baad mein jaise safed raushni ghaaron ke sath sath aaya hun main 'munir' kisi kaam ke liye rahta hai ek khayal sa khwabon ke sath sath