na baith chup tu suna dard dard ka qissa kisi bahane utha dard dard ka qissa bahaar ne likhi hai dastan khushiyon ki khizan ki rut ne likha dard dard ka qissa shab-e-firaq utarne lagi dhalan se jab jawan hone laga dard dard ka qissa tumhaare jaane se us par shabab aaya tha tum aae khatm hua dard dard ka qissa alaw jis pe guzaren khushi khushi raaten usi alaw mein tha dard dard ka qissa suna kisi ko ise bant le kisi ke sath ki badh gaya hai 'ziya' dard dard ka qissa