hamare jism ka ye maqbara nahin khali tumhaari yaad se ab tak hua nahin khali faragh khud se mila to jahan se ja uljha mera dimagh kabhi bhi raha nahin khali dua ko hath uthate hue hun khali hath dua karo ki yun hoe dua nahin khali kahin jalane mein shamil kahin bujhane mein ki apne kaam se pyare hawa nahin khali ye kijiye ki muqaddar banaiye khud hi hazar kaam hain us ko khuda nahin khali mila jo hum se wo do chaar ashk le hi gaya ki hum se mil ke koi bhi gaya nahin khali rahe na aankh mein aansu to khwab aaenge isi liye main use kar raha nahin khali