na barq na shoala ne sharar hun jo kahiye so qissa mukhtasar hun jun aks mera kahan thikana tere jalwe se jalwa-gar hun ai naqsh-e-qadam rah-e-fana mein main tujh se tuk ek peshtar hun ye khair hai khair-e-mahz hai to banda ganda jo main bashar hun malum hui na kuchh haqiqat main kya hun kaun hun kidhar hun ai umr-e-ba-baad-e-rafta le chal main bhi tere hi ham-safar hun jun shoala miyan-e-be-qarari qaem apne qarar par hun hun nala-e-na-rasa wa-lekin apne haq mein to kargar hun aate hain nazar sabhi hunar-mand main hi ek saf be-hunar hun hun tir-e-bala ka main nishana shamshir-e-jafa ka main sipar hun lena meri khair-khabar to khair dila ghafil hun nipat hi be-khabar hun bhule bhi kabhu na yaad karna bar-e-khatir main is qadar hun hun laghw main aap apni zaton auron ka nafa ne zarar hun tere daman se lag raha hun apni tar-damani se tar hun dard ki zat-e-pak ka hai go ain nahin wale 'asar' hun