teri mahfil mein jitne ai sitam-gar jaane wale hain hamin hain ek un mein jo tera gham khane wale hain adam ke jaane walo daudte ho kis liye thahro zara mil ke chalo hum bhi wahin ke jaane wale hain safai ab hamari aur tumhaari ho to kyun kar ho wahi dushman hain apne jo tumhein samjhane wale hain kise hum dost samjhen is jahan mein aur kise dushman ki jo samjhane wale hain wahi bahkane wale hain maraz badh jae jis se ai tabib ab wo dawa dena suna hai aaj wo meri khabar ko aane wale hain na sunte hain kisi ki aur munh se baat karte hain khuda jaane musafir ye kahan ke jaane wale hain tere bimar kab khaen dawa parhez kya jaanen ye hain khun-e-jigar pite ye gham ke khane wale hain qayamat tak na wo ai 'mashriqi' manzil pe pahunchenge khayali ghode jo maidan mein daudane wale hain