na bhul pae tumhein hadisa hi aisa tha na bhar saka koi us ko khala hi aisa tha wo mujh mein rah ke mujhe katta raha pal-pal zaban pe aa na saka majra hi aisa tha nazar na aai kahin dur dur tak koi mauj main gharq ho gaya tufan utha hi aisa tha na aaya lutf kisi aur gham ko jhelne mein gham-e-hayat tera zaiqa hi aisa tha khule to lab magar alfaz donon samt na the mukalima na hua marhala hi aisa tha ab us ka ranj bhi kya kyun lahuluhan hain panw chale the jis pe 'zafar' rasta hi aisa tha