na but-kade mein na kabe mein sar jhukane se sukun mila hai teri anjuman mein aane se mere junun ko mohabbat se dekhne wale zara nigah bachae hue zamane se main muskura to diya un ki be-niyazi par ye kya ki dil pe lagi chot muskurane se bahut kiya hai haqiqat ki talkhiyon se gurez magar bahal na saka dil kisi fasane se khusha ki ahd-e-qafas mein bhi zindagi ke liye nigah khelti rahti hai aashiyane se udas dil ko sahaara na mil saka 'jawed' andheri shab mein sitaron ke jagmagane se