phul par os hai aariz pe nami ho jaise us ke chehre pe meri aankh dhari ho jaise us ki palkon pe rakhun hont to yun jalte hain us ke sine mein kahin aag lagi ho jaise jhil ke hont pe suraj ki kiran lahrai mere mahbub ke honton pe hansi ho jaise ab bhi rah rah ke mere dil mein sisakta hai koi us mein murat koi bachpan ki chhupi ho jaise khat mein is tarah wo tadib mujhe karti hai umr mein mujh se kai sal badi ho jaise mere bachpan ki pujaran ne mujhe yun dekha apne bhagwan ke charnon mein dukhi ho jaise tujh se mil kar bhi udasi nahin jati dil ki tu nahin aur koi meri kami ho jaise