na chhin le kahin tanhai dar sa rahta hai mere makan mein wo diwar-o-dar sa rahta hai kabhi kabhi to ubharti hai chikh si koi kahin kahin mere andar khandar sa rahta hai wo aasman ho ki parchhain ho ki tera khayal koi to hai jo mera ham-safar sa rahta hai main jod jod ke jis ko zamana karta hun wo mujh mein tuta hua lamha bhar sa rahta hai zara sa nikle to ye shahr ulat palat jae wo apne ghar mein bahut be-zarar sa rahta hai bula raha tha wo dariya ke par se ek din jabhi se panw mein mere bhanwar sa rahta hai na jaane kaisi girani uthae phirta hun na jaane kya mere kandhe pe sar sa rahta hai chalo 'salim' zara kuchh ilaj-e-jaan kar len yahin kahin pe koi chaara-gar sa rahta hai