meri arzani se mujh ko wo nikalega magar apne upar ek din qurban kar dega mujhe munjamid kar dega mujh mein aa ke wo sara lahu dekhte hi dekhte be-jaan kar dega mujhe kitna mushkil ho gaya hun hijr mein us ke so wo mere pas aaega aur aasan kar dega mujhe rafta rafta sari taswiren damakti jaengi apne kamre ka wo aatish-dan kar dega mujhe khwab mein kya kuchh dikha laega wo aaina-ru nind khulte hi magar hairan kar dega mujhe ek qatre ki tarah hun us ki aankhon mein abhi ab na tapkunga to wo tufan kar dega mujhe