na chhoda dil-e-khasta-jaan chalte chalte ghazab kar chale mehrban chalte chalte kahenge kuchh ai baghban chalte chalte agar degi yara zaban chalte chalte gire hum pas-e-karwan chalte chalte thake panw apne kahan chalte chalte teri chaal baad-e-khizan ne udai ujada mera aashiyan chalte chalte karo aankhen jhapka ke tirchhi nigahen sinanen chalin barchhiyan chalte chalte bharen sard aahen jo garm aah bhar ke nasim aai baad-e-khizan chalte chalte na ghabra zara daman-e-roz-e-mahshar karunga teri dhajjiyan chalte chalte adam ko chale qaid zulf-e-sanam mein rahen panw mein bediyan chalte chalte dam-e-naza sar par gire koh-e-ulfat uthain badi sakhtiyan chalte chalte meri lash ko panw se khub raunda thame surat-e-asman chalte chalte bas ab to adam mein mulaqat hogi ye kahte gae raftagan chalte chalte na qatil ne tegh-e-nigah tak lagai na karta gaya imtihan chalte chalte jahan se gae hashr tak khub soe liya sath khwab-e-giran chalte chalte rahe umr-bhar teri wahdat ke qail na lin hum ne do hichkiyan chalte chalte 'rashid'-e-hazin lakh roka kiye hum wo lete gae naqd-e-jaan chalte chalte