parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah khushbu na hogi phul ki ghammaz kis tarah tarz-e-kalam un ka hua tarz-e-khas-o-am badlenge ab wo baat ka andaz kis tarah badla jo us ki aankh ka andaz to khula karte hain rang phul se parwaz kis tarah aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi sinon mein ghut ke rah gai aawaz kis tarah wo haq-parast kaise hue maslahat-parast naghmon se be-libas hue saz kis tarah aankhon mein mom dal ke baithenge kab talak aainon se chhupaenge ye raaz kis tarah us ki nazar mein aks-e-talluq kahin nahin 'amjad' hadis-e-shauq ho aaghaz kis tarah