na chhuta hath se yak lahza gareban mera chashm-e-tar hi pe raha gosha-e-daman mera jis taraf guzre kare ru-e-zamin ko gulzar sair-e-gulshan se phire jab gul-e-khandan mera khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera bakht hain shor ye apne hi ki wo naushin lab auron ka chashma-e-haiwan hai namak-dan mera auron ki aankhon ko dekhun hun main didar-nasib bana rone ko yahi dida-e-giryan mera dur us lab se jo guzre hai dil-e-pur-khun par jaane mera hi jigar aur ye dandan mera be-ajal marta raha ishq mein us ke umr bhar kahun kis munh pe main 'hasrat' wo hai jaanan mera