phiri si dekhta hun is chaman ki kuchh hawa bulbul tujhe fursat hai jab tak aashiyan yan se utha bulbul tu aashiq hai wafa tera hunar hai ishq mein warna mera gul be-wafa hai kya ise qadr-e-wafa bulbul dar-e-rahmat khuda ka baz hai dil apna taza rakh qafas mein hasrat-e-gul se mat itna phadphada bulbul tujhe ai baghban ek musht-e-par se kya adawat hai bahaar aakhir hai do din mein kuja gul phir kuja bulbul khizan-e-shum ye gulshan ke haq mein kya qayamat hai ki is ke aate hi be-barg ho gul be-nawa bulbul dil aasuda na paya kya khizan aur kya bahaar is ko mohabbat mein rakhe hai turfa dard-e-be-dawa bulbul bhara hai neamat-e-alwan se gul ka khwan go 'hasrat' kare har subh uth kar khun-e-dil se nashta bulbul