na dekhen kamtari ab kamtaron ki

na dekhen kamtari ab kamtaron ki
isi mein behtari hai behtaron ki

karo tum lakh aaraish gharon ki
zarurat kam na hogi maqbaron ki

yahan thak jae na neza tumhaara
meri basti hai basti khud-suron ki

siyasat ne padha rahzan ka kalma
badi zillat hui hai rahbaron ki

chaman ko ye naya mausam mubarak
udegi fakhta ab be-paron ki

khuda rakkhe dil-e-iza-talab ko
zaban chalti rahegi nashtaron ki

khusha qatil ki shan-e-shahr-yari
manaen khair hum apne saron ki

nazar aata nahin apna gareban
burai kar rahe hain dusron ki

'wali' ji pir-e-mai-khana bane hain
inayat hai ghazal ke dilbaron ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close