na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga taqaza lakh tu kar ai dil-e-shaida na dekhunga karun naseh main kyunkar hae ye wada na dekhunga nazar pad jaegi khud hi jo danista na dekhunga nigah-e-naz ko teri main sharminda na dekhunga hatae leta hun apni nazar achchha na dekhunga wo kahte hain na samjhunga tujhe 'majzub' main aashiq ki jab tak kucha o bazar mein ruswa na dekhunga bala se main agar ro ro ke binai bhi kho baithun karunga kya in aankhon ko jo wo jalwa na dekhunga bala se mere dil par meri jaan kuchh hi guzar jae main teri khatir-e-nazuk ko aazurda na dekhunga uthaunga na zanu se main hargiz apna sar hamdam are main apni aankhon se unhen jata na dekhunga hasinon se wahi phir hazrat-e-dil dida-bazi hai abhi to kar rahe the aap ye dawa na dekhunga zara ai naseh-e-farzana chal kar sun to do baaten na hoga phir bhi tu 'majzub' ka diwana dekhunga