jalwa-farma der tak dil-bar raha apni kah li sab ne main shashdar raha jism be-his be-shikan bistar raha main nae andaz se muztar raha main kharab-e-baad-o-saghar raha dil fida-e-saqi-e-kausar raha main raha to bagh-e-hasti mein magar be-nawa be-ashiyan be-par raha sab chaman walon ne to luti bahaar aur mujhe sayyaad hi ka dar raha koi samjha rind koi muttaqi lab pe tauba hath mein saghar raha tham rahe aansu rahi dil mein jalan nam rahin aankhen kaleja tar raha umr bhar phirta raha main dar-ba-dar mar ke bhi charcha mera ghar ghar raha saikadon fikren hain tum ko aaqilo tum se to 'majzub' hi behtar raha