na dil dimagh ka is mein qusur hota hai kisi se ek nazar ka fitur hota hai riwayaten bhi ajab hain badi mohabbat ki jo dil ke pas ho aankhon se dur hota hai koi bhi shakl yun hoti nahin hai nurani tape jo aag mein us par bhi nur hota hai kuchh ek chiz kahin aa to jae hain lekin ruke wahi hain jahan par shuur hota hai ye rab hi jaane ki wo ishq kis ko kis se kab par ek bar to sab ko zarur hota hai kuchh ek ghunt laga raat milne jaunga suna hai shab ko nashe mein wo chur hota hai usul-e-ishq ki takrar ka hai jis ko bhi ziyaada pyar usi ka qusur hota hai