ghair-mumkin tha ye ek kaam magar hum ne kiya tere nazzare ko paband-e-nazar hum ne kiya aage chal kar ye khuda jaane kahan rah jaen ghair bhi chal pade jab azm-e-safar hum ne kiya in khayalat hi par tut padi hai duniya jin khayalat ko kal zehn-badar hum ne kiya din khatarnak jazira sa nazar aane laga apni hi zat ka kal shab jo safar hum ne kiya yun tadap uttha ki aai ho qayamat jaise us ki dahliz pe kham aaj jo sar hum ne kiya tu hai hamrah to kante bhi maza dene lage yun to kahne ko kai bar safar hum ne kiya kar gae bhul ke jo 'sarmad'-o-'mansur'-o-'waqar' wo tamasha na sar-e-rah-guzar hum ne kiya