na dil se aah na lab se sada nikalti hai magar ye baat badi dur ja nikalti hai sitam to ye hai ki ahd-e-sitam ke jate hi tamam khalq meri ham-nawa nikalti hai visal-o-hijr ki hasrat mein ju-e-kam-maya kabhi kabhi kisi sahra mein ja nikalti hai main kya karun mere qatil na chahne par bhi tere liye mere dil se dua nikalti hai wo zindagi ho ki duniya 'faraaz' kya kije ki jis se ishq karo bewafa nikalti hai