shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin panw se hawaon ke bediyan nahin khultin ped ko dua de kar kat gai bahaaron se phul itne badh aae khidkiyan nahin khultin phul ban ke sairon mein aur kaun shamil tha shokhi-e-saba se to baaliyan nahin khultin husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan do ghadi ki chahat mein ladkiyan nahin khultin koi mauja-e-shirin chum kar jagaegi surajon ke nezon se sipiyan nahin khultin man se kya kahengi dukh hijr ka ki khud par bhi itni chhoti umron ki bachchiyan nahin khultin shakh shakh sargardan kis ki justuju mein hain kaun se safar mein hain titliyan nahin khultin aadhi raat ki chup mein kis ki chap ubharti hai chhat pe kaun aata hai sidhiyan nahin khultin paniyon ke chadhne tak haal kah saken aur phir kya qayamaten guzrin bastiyan nahin khultin