na diwaren hain aur na dar purana abhi tak phir bhi hai ye ghar purana dara deta jaga deta hai mujh ko darun-e-zehn baitha dar purana marahil aakhiri talim ke hain meri man ne nikala zar purana tamasha phir wahi imsal hoga wahi dastar hogi sar purana saja matam kanar-e-dasht-e-mizhgan suna qissa wo chashm-e-tar purana agar hai dastaras dast-e-sakhawat mila de yar lamha bhar purana agar aa hi gaya hai wo to 'tahir' shikayat kar na shikwa kar purana