raushni kar de sar-ba-sar maula

raushni kar de sar-ba-sar maula
us ki aankhon mein nur bhar maula

sirf tera use sahaara ho
sirf tera hi us ko dar maula

us ki khush-qismati rahe daim
us se qaem hai mera ghar maula

us ki parwaz ho surayya tak
kar de mazbut us ke par maula

nekiyan hon qarib aur qarib
dur us se hon sare shar maula

shab-e-tira mein mere kamsin ke
hauslon ko buland kar maula

ye mujhe is qadar zaruri hai
jaise ghar ke liye ho dar maula

bar-zarurat tasalliyon ke liye
daud kar aaen bahr-o-bar maula

sirf kahna hai lafz kun tu ne
sirf lagna hai lamha bhar maula

haal-e-dil jab bata diya tujh ko
yun laga ho gai sahar maula

aur jo kuchh na kah saka baba
kah rahi hai ye chashm-e-tar maula

sab ko ye kah diya hai 'tahir' ne
mera koi nahin magar maula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close