na doharao mujhe us ki kami achchhi nahin lagti adhuri dastan-e-zindagi achchhi nahin lagti chalo mil kar kate raste pe hum ek pul bana dalen hamein bhi guftugu ab dur ki achchhi nahin lagti ye kaisa daur aaya hai ki apne ghar ke bachchon ko buzurgon ki ab achchhi baat bhi achchhi nahin lagti 'uruj-e-zindagi paya hai jis ne pal ke ghurbat mein usi insan ko ab muflisi achchhi nahin lagti mujhe jab yaad aa jata hai manzar ghar ke jalne ka charaghon ki bhi 'atish' raushni achchhi nahin lagti