misl-e-bulbul zamzamon ka khud yahan ek rang hai arghanun is anjuman mein kharij-az-ahang hai har khayal apna hai yan ek mutrib-e-shirin-nawa har nafas sine mein ek mauj-e-sada-e-chang hai har tasawwur hai mera 'aks-e-jamal-e-ru-e-dost mera har majmu’a-e-wahm ek gul-e-khush-rang hai lauh-e-dil har jumbish-e-mizhgan se hai ma'ni-pazir har rag-e-andesha naqsh-e-khama-e-arzhang hai 'aks tera pad ke is mein ho gaya pakiza-tar ai but-e-kafir meri aankhon mein faiz-e-gang hai nazm-e-'akbar' se balaghat sikh len arbab-e-‘ishq istilahat-e-junun mein be-baha farhang hai