na dosti se rahe aur na dushmani se rahe hamein tamam gile apni aagahi se rahe wo pas aae to mauzu-e-guftugu na mile wo laut jae to har guftugu usi se rahe hum apni rah chale log apni rah chale yahi sabab hai ki hum sargiran sabhi se rahe wo gardishen hain ki chhut jaen khud hi baat se hat ye zindagi ho to kya rabt-e-jaan kisi se rahe kabhi mila wo sar-e-rahguzar to milte hi nazar churane laga hum bhi ajnabi se rahe gudaz-qalb kahe koi ya ki harjai khulus o dard ke rishte yahan sabhi se rahe