koson dur kinara hoga kashti hogi dariya hoga pas tumhein ho tum hi batao koi mujh sa tanha hoga aao aur qarib aa jao waqt bhi rasta takta hoga tum se hasin to aur bhi honge lekin koi tum sa hoga ab to kuchh bhi yaad nahin hai hum ne tum ko chaha hoga hum ne gareban chaak kiya tha hum ko hi khud sina hoga jab hum tera nam na lenge wo bhi ek zamana hoga wo bhi ek haqiqat hogi jis ka nam fasana hoga kal ki fikr kahan tak kije aur bura ab kitna hoga han wo 'imam' ek ruswa shaer tum ne us ko dekha hoga