na durweshon ka khirqa chahiye na taj-e-shahana mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho dalin hamare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmana ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana na dekha wo kahin jalwa jo dekha khana-e-dil mein bahut masjid mein sar mara bahut sa dhunda but-khana kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana 'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai kare gar rind dard-e-dil se haw-hu-e-mastana