hum shayad kuchh dhund rahe the yaad aaya to rote hain taza taza us ko kho kar jaane kya kya khote hain ek taraf ye duniya-dari ek taraf wo khalwat-e-gham duniya walo har mahfil mein dekho hum bhi hote hain pahli kiran ka dhadka kya kya dil ko masakta jae hai bhor bhae jab kunj mein ghunche munh shabnam se dhote hain tujh ko tere gul phul mubarak yan zid thahri jine se hum to apni rah mein pyare chun chun kante bote hain tere dukh-sukh tu hi jaane hum ne bas itna jaana hai tujh se pahle jag uthte hain tere baad hi sote hain sej ko suna kar gae khuban shikan shikan fariyaad kare pahlu pahlu chaunk uthe hum karwat karwat rote hain us ne bagh se jate jate mausam-e-gul bhi bandh liya 'shaz' ko dekho diwane hain baithe haar pirote hain