na ehtiram na dil mein adab ka hota hai hamesha masala nam-o-nasab ka hota hai maqami shai pe kisi ko bhi eatibar nahin hamara maulwi tak bhi arab ka hota hai ziyaada farq nahin dahriyon mein aur hum mein koi na koi aqida to sab ka hota hai talash mujh ko bhi rahti hai ek bahane ki aur intizar use bhi sabab ka hota hai dilasa de ke yahi chup kara diya gaya hun ki jo bhi faisla hota hai rab ka hota hai ziyaada umr nahin hai kisi patange ki hamara khel faqat ek shab ka hota hai tumhaari marzi mohabbat kaho ise ki hawas hamare dil mein to jazba talab ka hota hai haqir chiz kabhi khak mein nahin milti ye haal sirf kisi muntakhab ka hota hai