parai bhiD mein kaise juda lagunga main

parai bhid mein kaise juda lagunga main
akela hunga to sab ko khuda lagunga main

abhi to ret ki surat uda rahe ho mujhe
zara si der ruko aaina lagunga main

bura lagega koi din tujhe badan ka khayal
phir ek shab tere sine se aa lagunga main

safar mein tujh pe kabhi ahmiyat khulegi meri
bhatakne wale tujhe rasta lagunga main

tere ghubar ne meri chamak ghata di hai
hawa chalegi to phir se naya lagunga main

pahan liya tha kisi roz bap ka juta
mujhe laga tha ki aise bada lagunga main

khuda-paraston ne kafir samajh ke mar diya
pata nahin ki farishton ko kya lagunga main

shikast kha ke bhi meri ana bachi rahegi
ujadte waqt bhi us ko hara lagunga main

ajab nahin hai ki mubham rahe qarib ki shai
zamin ki aankh se dekho khala lagunga main

hazaron waqiye main ne nigal liye 'hamza'
muarrakhin ko aatish-kada lagunga main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close