na faisla tumhaara hai na faisla hamara hai ye waqt ke qazzaq ne chhupa ke tir mara hai faqih-e-shahr zindagi ki aankh ka jo nur tha wo main ne tere aastan pe khwab la ke wara hai sitar-gan ki bazm mein udas chand dekhna na-jaane kaisa khwab hai na-jaane kya ishaara hai hamein ye khwab titliyan talashna hain umr-bhar ki hath khali nikle hain charagh hai na tara hai pas-e-ghubar waqt yun pukarta hai kaun ye ki hijr-o-gham ka silsila batao kyun gawara hai 'sajjad' bhi malul hai ki qafila hai sham ka falak pe ek chand hai jo aakhiri sahaara hai