khayal aatishin khwabida suraten di hain sakha-e-hijr ne ab bhi numaishen di hain ye ab jo khwab zamanon ne dastaken di hain pas-e-murad haqaeq ki manzilen di hain mere libas ke paiwand-e-muflisi pe na ja mere junun ne mohabbat ko khilaten di hain mere mizaj ka mausam ajib mausam hai ki jis ke gham ne bhi hasti ko raunaqen di hain hum ahl-e-ishq ne tawan rahaten de kar hudud-e-arsa-e-wahshat ko wusaten di hain chalo ye baat ghalat hai to phir batao mujhe har ek hath mein kis kis ne mishalen di hain shuur jae to fursat se nind bhi aae fishaar-e-zat ne 'farhat' ko ranjishen di hain